Search This Blog

Thursday, October 15, 2009

Kahin Bikhar Jaoon!



gehre paani main fir utar jaoon,
is nadi ko bhi paar kar jaoon!

jangalon main bhatak ke dekh liya,
sochta hoon ab apne ghar jaoon!

ek hi chehra hai nigahon main,
kis taraf dekhu main kidhar jaoon!

uski aawaz ki khanak ki kasam,
kyu na dil uske naam kar jaoon!

shayad is roop main vo apna le,
phool ban jaoon main nikhar jaoon!

ye andhere bharam aur tanhayi,
ab kaha jaoon kidhar jaoon!

"Chand" ne yun tasalli di bahut,
khuddari pe apni mar jaoon!

hath milte hain raha dil baki,
dil ka kissa tamaam kar jaoon!

sookhe patton se dosti kar loon,
jab hawa aaye kahin bikhar jaoon!

No comments:

Post a Comment